Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Danish Aligarhi

  • Ghazal


kya KHabar thi munharif ahl-e-jahan ho jaenge


kyā ḳhabar thī munharif ahl-e-jahāñ ho jā.eñge
hote hote mehrbāñ nā-mehrbāñ ho jā.eñge

muskurā kar un kā milnā aur bichhaḌnā ruuTh kar
bas yahī do lafz ik din dāstāñ ho jā.eñge

ishq sādiq hai to apne azm-e-manzil kī qasam
har qadam par saath lākhoñ kārvāñ ho jā.eñge

ye ma.āl-e-ishq hogā ye kise mālūm thā
dil ke naġhme ek din āh-o-fuġhāñ ho jā.eñge

gar tarannum par hī 'dānish' munhasir hai shā.irī
phir to duniyā bhar ke shā.ir naġhma-ḳhvāñ ho jā.eñge

kya KHabar thi munharif ahl-e-jahan ho jaenge
hote hote mehrban na-mehrban ho jaenge

muskura kar un ka milna aur bichhaDna ruTh kar
bas yahi do lafz ek din dastan ho jaenge

ishq sadiq hai to apne azm-e-manzil ki qasam
har qadam par sath lakhon karwan ho jaenge

ye maal-e-ishq hoga ye kise malum tha
dil ke naghme ek din aah-o-fughan ho jaenge

gar tarannum par hi 'danish' munhasir hai shairi
phir to duniya bhar ke shair naghma-KHwan ho jaenge


Source: Dewan-e-Faiz

Leave a comment

+