Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanveer Sipra

  • Ghazal


beTe ko saza de ke ajab haal hua hai


beTe ko sazā de ke ajab haal huā hai
dil pahroñ mirā karb ke dozaḳh meñ jalā hai

aurat ko samajhtā thā jo mardoñ kā khilaunā
us shaḳhs ko dāmād bhī vaisā hī milā hai

har ahl-e-havas jeb meñ bhar laayā hai patthar
ham-sā.e kī bairī pe abhī bor paḌā hai

ab tak mire a.asāb pe mehnat hai musallat
ab tak mire kānoñ meñ mashīnoñ kī sadā hai

ai raat mujhe maañ kī tarah god meñ le le
din bhar kī mashaqqat se badan TuuT rahā hai

shāyad maiñ ġhalat daur meñ utrā huuñ zamīñ par
har shaḳhs tahayyur se mujhe dekh rahā hai

beTe ko saza de ke ajab haal hua hai
dil pahron mera karb ke dozaKH mein jala hai

aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilauna
us shaKHs ko damad bhi waisa hi mila hai

har ahl-e-hawas jeb mein bhar laya hai patthar
ham-sae ki bairi pe abhi bor paDa hai

ab tak mere aasab pe mehnat hai musallat
ab tak mere kanon mein mashinon ki sada hai

ai raat mujhe man ki tarah god mein le le
din bhar ki mashaqqat se badan TuT raha hai

shayad main ghalat daur mein utra hun zamin par
har shaKHs tahayyur se mujhe dekh raha hai


Leave a comment

+