ātish-e-fikr badan ghultā ho paiham jaise
kisī nāgin ne kahīñ chāTī ho shabnam jaise
bas isī moḌ se kuchh aage hai manzil apnī
hādse maut nishān-e-rah-e-pur-ḳham jaise
barf-ālūda guloñ par ye chamaktī kirneñ
un kī hañstī huī āñkheñ huiiñ pur-nam jaise
mausam-e-gul meñ ye pattoñ ke khaḌakne kī sadā
nafas-e-umr kī āvāz ho maddham jaise
zaḳhm-e-dil roz kuredo to ho lazzat afzūñ
ik mudāvā hai ġham-e-yār ho marham jaise
os meñ Duube shagūfoñ kī udāsī kā dhuāñ
kisī bīmār kī āñkheñ huiiñ pur-nam jaise
āñkhoñ āñkhoñ meñ koī baat huī phūloñ meñ
apne gulshan kī fazā ho ga.ī barham jaise
husn hī husn hai kashmīr ke but-ḳhāne meñ
dūdhiyā chāñdnī phailī huī pūnam jaise
ḳhuub 'ja.afar'-razā ahbāb tumhāre haiñ ye
jo havāoñ se badal jaate haiñ mausam jaise
aatish-e-fikr badan ghulta ho paiham jaise
kisi nagin ne kahin chaTi ho shabnam jaise
bas isi moD se kuchh aage hai manzil apni
hadse maut nishan-e-rah-e-pur-KHam jaise
barf-aluda gulon par ye chamakti kirnen
un ki hansti hui aankhen huin pur-nam jaise
mausam-e-gul mein ye patton ke khaDakne ki sada
nafas-e-umr ki aawaz ho maddham jaise
zaKHm-e-dil roz kuredo to ho lazzat afzun
ek mudawa hai gham-e-yar ho marham jaise
os mein Dube shagufon ki udasi ka dhuan
kisi bimar ki aankhen huin pur-nam jaise
aankhon aankhon mein koi baat hui phulon mein
apne gulshan ki faza ho gai barham jaise
husn hi husn hai kashmir ke but-KHane mein
dudhiya chandni phaili hui punam jaise
KHub 'jafar'-raza ahbab tumhaare hain ye
jo hawaon se badal jate hain mausam jaise
Volume-001"
Leave a comment