Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Banarasi

  • Ghazal


hadis-e-talKHi-e-ayyam se taklif hoti hai


hadīs-e-talḳhī-e-ayyām se taklīf hotī hai
sahar vāloñ ko zikr-e-shām se taklīf hotī hai

vahī kāfir ki jis kā naam taskīn-e-dil-o-jāñ thā
sitam hai ab usī ke naam se taklīf hotī hai

maqām aisā bhī aatā hai guzargāh-e-mohabbat meñ
musāfir ko jahāñ ārām se taklīf hotī hai

shikast-e-dil kī manzil se agar guzre to kyā hogā
abhī tum ko shikast-e-jām se taklīf hotī hai

'hafīz' ahl-e-gulistāñ se hamārā haal mat kahnā
unheñ zikr-e-asīr-e-dām se taklīf hotī hai

hadis-e-talKHi-e-ayyam se taklif hoti hai
sahar walon ko zikr-e-sham se taklif hoti hai

wahi kafir ki jis ka nam taskin-e-dil-o-jaan tha
sitam hai ab usi ke nam se taklif hoti hai

maqam aisa bhi aata hai guzargah-e-mohabbat mein
musafir ko jahan aaram se taklif hoti hai

shikast-e-dil ki manzil se agar guzre to kya hoga
abhi tum ko shikast-e-jam se taklif hoti hai

'hafiz' ahl-e-gulistan se hamara haal mat kahna
unhen zikr-e-asir-e-dam se taklif hoti hai


Leave a comment

+