Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Shirazi

  • Ghazal


hawa ka shor sada-e-sahab mere liye


havā kā shor sadā-e-sahāb mere liye
jahān-e-jabr kā har iztirāb mere liye

sulagtā jaatā huuñ maiñ aur paḌhtā jaatā huuñ
khulā paḌā hai zamāne kā baab mere liye

maiñ muntazir thā jahāñ par gulāb khilne kā
vahīñ pareshāñ thī bū-e-gulāb mere liye

ye merī umr kī shab ye uḌī huī nīndeñ
na koī ḳhvāb na afsūn-e-ḳhvāb mere liye

tabāh kar diyā ahde-javāñ kī bātoñ ne
shabāb is ke liye thā sharāb mere liye

jahāñ hai nashsha-e-ḳhvāb-e-sahar meñ khoyā huā
hai sar pe aayā huā āftāb mere liye

rahā hai dhyān meñ ik jism chāñd sā 'ja.afar'
huī vahāñ hai shab-e-māhtāb mere liye

hawa ka shor sada-e-sahab mere liye
jahan-e-jabr ka har iztirab mere liye

sulagta jata hun main aur paDhta jata hun
khula paDa hai zamane ka bab mere liye

main muntazir tha jahan par gulab khilne ka
wahin pareshan thi bu-e-gulab mere liye

ye meri umr ki shab ye uDi hui ninden
na koi KHwab na afsun-e-KHwab mere liye

tabah kar diya ahde-jawan ki baaton ne
shabab is ke liye tha sharab mere liye

jahan hai nashsha-e-KHwab-e-sahar mein khoya hua
hai sar pe aaya hua aaftab mere liye

raha hai dhyan mein ek jism chand sa 'jafar'
hui wahan hai shab-e-mahtab mere liye


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+