Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faez Dehlvi

  • Ghazal


abru ne tere khinchi kaman jaur-o-jafa par


abrū ne tire khīñchī kamāñ jaur-o-jafā par
qurbāñ karūñ sau jiiv tire tīr-e-adā par

yāqūt ko laave nahīñ ḳhātir meñ kabhī vo
jis kī nazar ai yaar paḌe terī hinā par

kyā ḳhuub tire sar pe lage chīra-e-sālo
kyā zeb deve basma tirī sabz qabā par

tujh daam meñ ai āhū-e-chīñ band hai 'fā.ez'
hargiz nahīñ us tā.ir-e-andesha ḳhatā par

abru ne tere khinchi kaman jaur-o-jafa par
qurban karun sau jiw tere tir-e-ada par

yaqut ko lawe nahin KHatir mein kabhi wo
jis ki nazar ai yar paDe teri hina par

kya KHub tere sar pe lage chira-e-salo
kya zeb dewe basma teri sabz qaba par

tujh dam mein ai aahu-e-chin band hai 'faez'
hargiz nahin us tair-e-andesha KHata par


Source: Book : Bar-e-Safar (Pg. 18) Author : Baqi Siddiqui Publication : Maktaba Urdu Daijest, Lahore (1969) Edition : 1969

Leave a comment

+