Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahesh Chandra Naqsh

  • Ghazal


yak-ba-yak ye ho gae andaz kya


yak-ba-yak ye ho ga.e andāz kyā
phir sunī dil ne vahī āvāz kyā

so gayā hañs kar fanā kī god meñ
aur kartā bhī koī jāñ-bāz kyā

dard-e-hastī phir chamak uTThā hai aaj
ho ga.ī ġhāfil vo chashm-e-nāz kyā

dair o ka.aba hī pe kyā mauqūf hai
dil nahīñ hai jalva-gāh-e-nāz kyā

kākuleñ lahrā rahī haiñ dam-ba-dam
baj rahā hai tīrgī kā saaz kyā

qahqahe ashk o tabassum aur fuġhāñ
zindagī kyā zindagī kā raaz kyā

un nigāhoñ meñ hai phir mehr-o-vafā
ruk sakegī vaqt kī parvāz kyā

hai faqat bedārī-e-ehsās 'naqsh'
dāstān-e-shauq kā āġhāz kyā

yak-ba-yak ye ho gae andaz kya
phir suni dil ne wahi aawaz kya

so gaya hans kar fana ki god mein
aur karta bhi koi jaan-baz kya

dard-e-hasti phir chamak uTTha hai aaj
ho gai ghafil wo chashm-e-naz kya

dair o kaba hi pe kya mauquf hai
dil nahin hai jalwa-gah-e-naz kya

kakulen lahra rahi hain dam-ba-dam
baj raha hai tirgi ka saz kya

qahqahe ashk o tabassum aur fughan
zindagi kya zindagi ka raaz kya

un nigahon mein hai phir mehr-o-wafa
ruk sakegi waqt ki parwaz kya

hai faqat bedari-e-ehsas 'naqsh'
dastan-e-shauq ka aaghaz kya

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 yak-ba-yak ye ho gae andaz kya Nomaan Shauque

Leave a comment

+