Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghazanfar Hashmi

  • Ghazal


suKHan ka lahja guman-KHane mein rah gaya hai


suḳhan kā lahja gumān-ḳhāne meñ rah gayā hai
mirā zamāna kisī zamāne meñ rah gayā hai

jo tujh ko jaanā hai is añdhere meñ hī chalā jā
bas ek lamha diyā jalāne meñ rah gayā hai

abhī tahī-dast mujh ko mat jaan ai zamāne
ki ek aañsū mire ḳhazāne meñ rah gayā hai

kabhī jo hukm-e-safar huā to khulā ye mujh par
jo par salāmat thā āshiyāne meñ rah gayā hai

ajab tarah kā adhūrā-pan hai mire bayāñ meñ
so merā qissa kahīñ sunāne meñ rah gayā hai

bahut zarūrī thā ḳhud se milnā magar ġhazanfar
ye kār-e-duniyā ke tāne-bāne meñ rah gayā hai

suKHan ka lahja guman-KHane mein rah gaya hai
mera zamana kisi zamane mein rah gaya hai

jo tujh ko jaana hai is andhere mein hi chala ja
bas ek lamha diya jalane mein rah gaya hai

abhi tahi-dast mujh ko mat jaan ai zamane
ki ek aansu mere KHazane mein rah gaya hai

kabhi jo hukm-e-safar hua to khula ye mujh par
jo par salamat tha aashiyane mein rah gaya hai

ajab tarah ka adhura-pan hai mere bayan mein
so mera qissa kahin sunane mein rah gaya hai

bahut zaruri tha KHud se milna magar ghazanfar
ye kar-e-duniya ke tane-bane mein rah gaya hai


Leave a comment

+