jab se junūn-e-shauq ke mehvar badal ga.e
chehroñ ke phuul qad ke sanobar badal ga.e
kyuuñ apne saath dīda-e-hairāñ ko le gayā
bachpan gayā to husn ke paikar badal ga.e
zahrāb-e-ishq pī na sake bul-havas kabhī
kahne kī baat hai ḳhum-o-sāgar badal ga.e
soyā to aañkh meñ tire sapne samā ga.e
jaagā to rañg ḳhvāb ke yaksar badal ga.e
ai umr-e-rafta luuT ke aa jā bas ek baar
aa jā ki sub.h-o-shām ke tevar badal ga.e
jab se junun-e-shauq ke mehwar badal gae
chehron ke phul qad ke sanobar badal gae
kyun apne sath dida-e-hairan ko le gaya
bachpan gaya to husn ke paikar badal gae
zahrab-e-ishq pi na sake bul-hawas kabhi
kahne ki baat hai KHum-o-sagar badal gae
soya to aankh mein tere sapne sama gae
jaga to rang KHwab ke yaksar badal gae
ai umr-e-rafta luT ke aa ja bas ek bar
aa ja ki subh-o-sham ke tewar badal gae
Source: Book : Chirag-e-shab-e-aakhir (Pg. 34) Author : Mahmudul Hasan Publication : Mahmudul Hasan (2016) Edition : 2016
Leave a comment