Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaan Nisar Akhtar

  • Ghazal


tumhaare jashn ko jashn-e-farozan hum nahin kahte


tumhāre jashn ko jashn-e-farozāñ ham nahīñ kahte
lahū kī garm būñdoñ ko charāġhāñ ham nahīñ kahte

agar had se guzar jaa.e davā to ban nahīñ jaatā
kisī bhī dard ko duniyā kā darmāñ ham nahīñ kahte

nazar kī intihā koī na dil kī intihā koī
kisī bhī husn ko husn-e-farāvāñ ham nahīñ kahte

kisī āshiq ke shāne par bikhar jaa.e to kyā kahnā
magar is zulf ko zulf-e-pareshāñ ham nahīñ kahte

na bū-e-gul mahaktī hai na shāḳh-e-gul lachaktī hai
abhī apne gulistāñ ko gulistāñ ham nahīñ kahte

bahāroñ se junūñ ko har tarah nisbat sahī lekin
shaguft-e-gul ko āshiq kā garebāñ ham nahīñ kahte

hazāroñ saal biite haiñ hazāroñ saal bīteñge
badal jā.egī kal taqdīr-e-insāñ ham nahīñ kahte

tumhaare jashn ko jashn-e-farozan hum nahin kahte
lahu ki garm bundon ko charaghan hum nahin kahte

agar had se guzar jae dawa to ban nahin jata
kisi bhi dard ko duniya ka darman hum nahin kahte

nazar ki intiha koi na dil ki intiha koi
kisi bhi husn ko husn-e-farawan hum nahin kahte

kisi aashiq ke shane par bikhar jae to kya kahna
magar is zulf ko zulf-e-pareshan hum nahin kahte

na bu-e-gul mahakti hai na shaKH-e-gul lachakti hai
abhi apne gulistan ko gulistan hum nahin kahte

bahaaron se junun ko har tarah nisbat sahi lekin
shaguft-e-gul ko aashiq ka gareban hum nahin kahte

hazaron sal bite hain hazaron sal bitenge
badal jaegi kal taqdir-e-insan hum nahin kahte

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 tumhaare jashn ko jashn-e-farozan hum nahin kahte Nomaan Shauque

Source: Book : Danish Kada (Pg. 41) Author : Danish Farahi Publication : Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh (2015) Edition : 2015

Leave a comment

+