Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmi Badayuni

  • Ghazal


chalti sanson ko jam karne laga


chaltī sāñsoñ ko jaam karne lagā
vo nazar se kalām karne lagā

raat farhād ḳhvāb meñ aayā
aur farshī salām karne lagā

phir maiñ zahrīle kār-ḳhānoñ meñ
zinda rahne kā kaam karne lagā

saaf inkār kar nahīñ paayā
vo mirā ehtirām karne lagā

lailā ghar meñ silā.ī karne lagī
qais dillī meñ kaam karne lagā

hijr ke maal se dil-e-nādāñ
vasl kā intizām karne lagā

chalti sanson ko jam karne laga
wo nazar se kalam karne laga

raat farhad KHwab mein aaya
aur farshi salam karne laga

phir main zahrile kar-KHanon mein
zinda rahne ka kaam karne laga

saf inkar kar nahin paya
wo mera ehtiram karne laga

laila ghar mein silai karne lagi
qais dilli mein kaam karne laga

hijr ke mal se dil-e-nadan
wasl ka intizam karne laga


Source: Book : Gulzar-e-Sukhan (Pg. 23) Author : Karan Singh Karan Publication : Karan Singh Karan (2014) Edition : 2014

Leave a comment

+