chāhe tan man sab jal jaa.e
soz-e-darūñ par aañch na aa.e
shīsha TuuTe ġhul mach jaa.e
dil TuuTe āvāz na aa.e
bahr-e-mohabbat tauba! tauba!
tairā jaa.e na Duubā jaa.e
ai vaa.e majbūrī-e-insāñ
kyā soche aur kyā ho jaa.e
haa.e vo naġhma jis kā muġhannī
gaatā jaa.e rotā jaa.e
izzat daulat ānī-jānī
mil mil jaa.e chhin chhin jaa.e
jis ko kahnī dil kī kahānī
sar-tā-pā dhaḌkan ban jaa.e
mai-ḳhāne kī samt na dekho
jaane kaun nazar aa jaa.e
kaash hamārā farz-e-mohabbat
aish-e-mohabbat par chhā jaa.e
chahe tan man sab jal jae
soz-e-darun par aanch na aae
shisha TuTe ghul mach jae
dil TuTe aawaz na aae
bahr-e-mohabbat tauba! tauba!
taira jae na Duba jae
ai wae majburi-e-insan
kya soche aur kya ho jae
hae wo naghma jis ka mughanni
gata jae rota jae
izzat daulat aani-jaani
mil mil jae chhin chhin jae
jis ko kahni dil ki kahani
sar-ta-pa dhaDkan ban jae
mai-KHane ki samt na dekho
jaane kaun nazar aa jae
kash hamara farz-e-mohabbat
aish-e-mohabbat par chha jae
Leave a comment