Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hajra Noor Zaryab

  • Ghazal


sambhaale abr-e-karam tu sambhal bhi sakti hai


sambhāle abr-e-karam tū sambhal bhī saktī hai
ye dil kī shāḳh abhī phūl-phal bhī saktī hai

bujhāo maġhribī ātish kī baḌh ke chiñgārī
ki is se mashriqī tahzīb jal bhī saktī hai

uruuj zarf kī had se nikal na jaa.e kahīñ
ye shai farāz pe jā kar phisal bhī saktī hai

ham aaj zor mohabbat kā āzmā.eñge
sunā hai ruḳh ye havā kā badal bhī saktī hai

ye sard sard havā.eñ ye chāñdnī ye firāq
tire liye ye tabī.at machal bhī saktī hai

kisī pe marne se pahle mujhe na thā ma.alūm
ki aise jiine kī hasrat nikal bhī saktī hai

qadam qadam pe ujāloñ kā ehtimām karo
ki chalte chalte kahīñ shaam Dhal bhī saktī hai

kamāl-e-zabt ko mere mirā ḳhudā rakkhe
ye muflisī mire TukḌoñ pe pal bhī saktī hai

ḳhulūs-e-mehr-o-vafā pyaar aur mohabbat se
badal ke dekhiye duniyā badal bhī saktī hai

harī-bharī sī rutoñ meñ ye Dhal bhī saktī hai
ḳhizāñ kī zard sī rañgat badal bhī saktī hai

adab kī shaan banūñ aarzū ye hai 'zaryāb'
magar ye kyā mirī hasrat nikal bhī saktī hai

sambhaale abr-e-karam tu sambhal bhi sakti hai
ye dil ki shaKH abhi phul-phal bhi sakti hai

bujhao maghribi aatish ki baDh ke chingari
ki is se mashriqi tahzib jal bhi sakti hai

uruj zarf ki had se nikal na jae kahin
ye shai faraaz pe ja kar phisal bhi sakti hai

hum aaj zor mohabbat ka aazmaenge
suna hai ruKH ye hawa ka badal bhi sakti hai

ye sard sard hawaen ye chandni ye firaq
tere liye ye tabiat machal bhi sakti hai

kisi pe marne se pahle mujhe na tha malum
ki aise jine ki hasrat nikal bhi sakti hai

qadam qadam pe ujalon ka ehtimam karo
ki chalte chalte kahin sham Dhal bhi sakti hai

kamal-e-zabt ko mere mera KHuda rakkhe
ye muflisi mere TukDon pe pal bhi sakti hai

KHulus-e-mehr-o-wafa pyar aur mohabbat se
badal ke dekhiye duniya badal bhi sakti hai

hari-bhari si ruton mein ye Dhal bhi sakti hai
KHizan ki zard si rangat badal bhi sakti hai

adab ki shan banun aarzu ye hai 'zaryab'
magar ye kya meri hasrat nikal bhi sakti hai


Source: Book : Dhund Mein Amaan (Pg. 94) Author : Vishal Khullar Publication : Insha Publications (2011) Edition : 2011

Leave a comment

+