Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Kazmi

  • Ghazal


tere baghair lag raha hai ye safar KHamosh hai


tire baġhair lag rahā hai ye safar ḳhamosh hai
havā thamī huī hai aur rahguzar ḳhamosh hai

haiñ apnī apnī jā pe donoñ muztarib ki kyā kareñ
tirī nigah meñ shor hai mirī nazar ḳhamosh hai

tirī sadā.eñ aa nahīñ rahī haiñ is sukūt meñ
ki hoñT hil rahe haiñ tere tū magar ḳhamosh hai

pukārtā huuñ apne-āp ko ki mar na jā.ūñ maiñ
magar pukār par mirī tarah nagar ḳhamosh hai

koī to guñg rah gayā kisī ko saañp Das gayā
ki baam chup hai dar khulā paḌā hai ghar ḳhamosh hai

tere baghair lag raha hai ye safar KHamosh hai
hawa thami hui hai aur rahguzar KHamosh hai

hain apni apni ja pe donon muztarib ki kya karen
teri nigah mein shor hai meri nazar KHamosh hai

teri sadaen aa nahin rahi hain is sukut mein
ki honT hil rahe hain tere tu magar KHamosh hai

pukarta hun apne-ap ko ki mar na jaun main
magar pukar par meri tarah nagar KHamosh hai

koi to gung rah gaya kisi ko sanp Das gaya
ki baam chup hai dar khula paDa hai ghar KHamosh hai


Leave a comment

+