Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejazulhaq Shahab

  • Ghazal


aaj sun li hai mere ahbab ne meri ghazal


aaj sun lī hai mire ahbāb ne merī ġhazal
aaj apnī manzil-e-maqsūd par pahuñchī ġhazal

jab sunā.ī aap ne to bā-adab sun lī ġhazal
aur jab koshāñ huā to be-dhaḌak kah dī ġhazal

ye lab-o-ruḳhsār ye chehrā terā pur-nūr sā
tujh ko kyā dekhā lagā jaise koī dekhī ġhazal

kal jo dekhī thī ġhazal to dil kī dhaḌkan ruk ga.ī
aaj jo dekhī ġhazal to ban ke dil dhaḌkī ġhazal

zulf uulā chashm saanī qāfiya ruḳh lab radīf
rab ne tum ko hai tarāshā yā koī likkhī ġhazal

qāfiya rūThā huā thā muñh chiḌātī thī radīf
tum kyā rūThe raat bhar thī raat bhar rūThī ġhazal

tahat meñ jab bhī paḌhī to ban ke niklī inqalāb
jab tarannum meñ paḌhī to jhuum uThī merī ġhazal

haiñ ye asnāf-e-adab jān-e-suḳhan-dāñ shā.irī
nazm merī saañs hai aur zindagī merī ġhazal

kah uThe haiñ sab suḳhnavar ahl-e-mahfil ye 'shahāb'
jo tere lab se huī āḳhir vahī Thahrī ġhazal

aaj sun li hai mere ahbab ne meri ghazal
aaj apni manzil-e-maqsud par pahunchi ghazal

jab sunai aap ne to ba-adab sun li ghazal
aur jab koshan hua to be-dhaDak kah di ghazal

ye lab-o-ruKHsar ye chehra tera pur-nur sa
tujh ko kya dekha laga jaise koi dekhi ghazal

kal jo dekhi thi ghazal to dil ki dhaDkan ruk gai
aaj jo dekhi ghazal to ban ke dil dhaDki ghazal

zulf ula chashm sani qafiya ruKH lab radif
rab ne tum ko hai tarasha ya koi likkhi ghazal

qafiya ruTha hua tha munh chiDati thi radif
tum kya ruThe raat bhar thi raat bhar ruThi ghazal

tahat mein jab bhi paDhi to ban ke nikli inqalab
jab tarannum mein paDhi to jhum uThi meri ghazal

hain ye asnaf-e-adab jaan-e-suKHan-dan shairi
nazm meri sans hai aur zindagi meri ghazal

kah uThe hain sab suKHnawar ahl-e-mahfil ye 'shahab'
jo tere lab se hui aaKHir wahi Thahri ghazal


Source: Book : Soch Abshar (Poetry) (Pg. 37) Author : Obaidur Rahman Publication : Sehla Obaid (2007) Edition : 2007

Leave a comment

+