dil meñ jab terī lagan raqs kiyā kartī thī
merī har saañs meñ ḳhushbū sī basā kartī thī
ab to mahfil se bhī hotā nahīñ kuchh ġham kā ilaaj
pahle tanhā.ī bhī dukh baañT liyā kartī thī
ab jo raqsā hai ka.ī rañg bhare chehroñ meñ
yahī miTTī kabhī bekār uḌā kartī thī
rañg ke jaal hī milte haiñ jidhar jaatā huuñ
raushnī yuuñ na mujhe tañg kiyā kartī thī
ab mujhe chāñdnī kuchh bhī to nahīñ kahtī hai
kabhī ye tere sandese bhī diyā kartī thī
kis qadar pyaar se ye peḌ bulāte the mujhe
kis tarah chhāñv tirā zikr kiyā kartī thī
dil mein jab teri lagan raqs kiya karti thi
meri har sans mein KHushbu si basa karti thi
ab to mahfil se bhi hota nahin kuchh gham ka ilaj
pahle tanhai bhi dukh banT liya karti thi
ab jo raqsa hai kai rang bhare chehron mein
yahi miTTi kabhi bekar uDa karti thi
rang ke jal hi milte hain jidhar jata hun
raushni yun na mujhe tang kiya karti thi
ab mujhe chandni kuchh bhi to nahin kahti hai
kabhi ye tere sandese bhi diya karti thi
kis qadar pyar se ye peD bulate the mujhe
kis tarah chhanw tera zikr kiya karti thi
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment