yaqīñ se jo gumāñ kā fāsla hai
zamīñ se āsmāñ kā fāsla hai
havā-paimā.ī kī ḳhvāhish hai itnī
ki jitnā bādbāñ kā fāsla hai
ḳhayālāt is qadar haiñ muḳhtalif kyuuñ
hamāre darmiyāñ kā fāsla hai
koī iz.hār kar saktā hai kaise
ye lafzoñ se zabāñ kā fāsla hai
maiñ us tak kis tarah pahuñchūñgā 'tābish'
yahāñ se is jahāñ kā fāsla hai
yaqin se jo guman ka fasla hai
zamin se aasman ka fasla hai
hawa-paimai ki KHwahish hai itni
ki jitna baadban ka fasla hai
KHayalat is qadar hain muKHtalif kyun
hamare darmiyan ka fasla hai
koi izhaar kar sakta hai kaise
ye lafzon se zaban ka fasla hai
main us tak kis tarah pahunchunga 'tabish'
yahan se is jahan ka fasla hai
Source: Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 17) Author : obaidullah aliim Publication : Al-Ibas Printers (2012) Edition : 2012
Leave a comment