Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizan Hashmi

  • Ghazal


mila raha hun tera husn kaenat ke sath


milā rahā huuñ tirā husn kā.enāt ke saath
physics khol ke baiThā huuñ dīniyāt ke saath

ye poster to bhalā hai magar paḌhe-likkho
zarā sā dil bhī to rakkho qalam davāt ke saath

ye ishq ek diyā har taraf dikhātā hai
maiñ jī rahā huuñ tavātur se mojazāt ke saath

bahut qadīm nahīñ kal kā vāqi.a hai ye
maiñ is zamīn pe utrā thā terī zaat ke saath

guzar rahā huuñ kisī dil-nashīñ sarā.e se
milā rahā huuñ maiñ ḳhvāboñ ko vāqi.āt ke saath

mila raha hun tera husn kaenat ke sath
physics khol ke baiTha hun diniyat ke sath

ye poster to bhala hai magar paDhe-likkho
zara sa dil bhi to rakkho qalam dawat ke sath

ye ishq ek diya har taraf dikhata hai
main ji raha hun tawatur se mojazat ke sath

bahut qadim nahin kal ka waqia hai ye
main is zamin pe utra tha teri zat ke sath

guzar raha hun kisi dil-nashin sarae se
mila raha hun main KHwabon ko waqiat ke sath


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+