Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yagana Changezi

  • Ghazal


kis dil se tark-e-lazzat-e-duniya kare koi


kis dil se tark-e-lazzat-e-duniyā kare koī
vo ḳhvāb-e-dil-fareb ki dekhā kare koī

kyā sahl hai ki tark-e-tamāshā kare koī
dil se na ho to aañkh se tauba kare koī

ġhunche ke dil meñ kuchh na thā ik aah ke sivā
phir kyā shaguftagī kī tamannā kare koī

āñkheñ hoñ jis ke āñkhoñ hī āñkhoñ meñ taaḌ le
dard apnā vo nahīñ ki TaTolā kare koī

dil muztarib nigāh giraftār-e-shash-jahat
farmā.iye kidhar kā irāda kare koī

yādash ba-ḳhair yād-e-ḳhudā aa hī jaatī hai
apnī taraf se laakh bhulāyā kare koī

is kī nigāh-e-shauq ke qurbān jā.iye
tujh aise be-nishāñ ko jo paidā kare koī

taa.at ho yā gunāh pas-e-parda ḳhuub hai
donoñ kā jab maza hai ki tanhā kare koī

bande na hoñge jitne ḳhudā haiñ ḳhudā.ī meñ
kis kis ḳhudā ke sāmne sajda kare koī

husn-e-'yagānā' aap hī apnā hijāb hai
husn-e-hijāb duur se dekhā kare koī

kis dil se tark-e-lazzat-e-duniya kare koi
wo KHwab-e-dil-fareb ki dekha kare koi

kya sahl hai ki tark-e-tamasha kare koi
dil se na ho to aankh se tauba kare koi

ghunche ke dil mein kuchh na tha ek aah ke siwa
phir kya shaguftagi ki tamanna kare koi

aankhen hon jis ke aankhon hi aankhon mein taD le
dard apna wo nahin ki TaTola kare koi

dil muztarib nigah giraftar-e-shash-jahat
farmaiye kidhar ka irada kare koi

yaadash ba-KHair yaad-e-KHuda aa hi jati hai
apni taraf se lakh bhulaya kare koi

is ki nigah-e-shauq ke qurban jaiye
tujh aise be-nishan ko jo paida kare koi

taat ho ya gunah pas-e-parda KHub hai
donon ka jab maza hai ki tanha kare koi

bande na honge jitne KHuda hain KHudai mein
kis kis KHuda ke samne sajda kare koi

husn-e-'yagana' aap hi apna hijab hai
husn-e-hijab dur se dekha kare koi


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+