Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Shaam

  • Ghazal


kabhi main aalam-e-imkan se guzar jata hun


kabhī maiñ ālam-e-imkāñ se guzar jaatā huuñ
aur kabhī jism kī daldal meñ utar jaatā huuñ

ye bharā shahr kabhī mujh meñ simaT aatā hai
kabhī maiñ shahr meñ har-gām bikhar jaatā huuñ

shahr se rahtī hai ik jañg musalsal din-bhar
shahr jab hāñpne lagtā hai to ghar jaatā huuñ

is kashākash meñ hī miltā hai nishāñ hone kā
jab bhī takmīl kā ehsās ho mar jaatā huuñ

le uḌī raushnī hī jur.at-e-bīnā.ī mirī
ab to maiñ din ke ujāle se bhī Dar jaatā huuñ

apne zarre hī nazar aate haiñ tā-hadd-e-nazar
ik zarā sar ko jhukā.ūñ to bikhar jaatā huuñ

ek ik aañkh meñ apnī hī kahānī dekhūñ
apnā chehra nazar aatā hai jidhar jaatā huuñ

shahr sajte haiñ guzar-gāheñ chamak uThtī haiñ
apne hī ḳhuun meñ Dūbūñ to sañvar jaatā huuñ

'shām' khultā hī nahīñ maut kā hañgām hai kyā
vaqt ruk jaatā hai yā maiñ hī Thahar jaatā huuñ

kabhi main aalam-e-imkan se guzar jata hun
aur kabhi jism ki daldal mein utar jata hun

ye bhara shahr kabhi mujh mein simaT aata hai
kabhi main shahr mein har-gam bikhar jata hun

shahr se rahti hai ek jang musalsal din-bhar
shahr jab hanpne lagta hai to ghar jata hun

is kashakash mein hi milta hai nishan hone ka
jab bhi takmil ka ehsas ho mar jata hun

le uDi raushni hi jurat-e-binai meri
ab to main din ke ujale se bhi Dar jata hun

apne zarre hi nazar aate hain ta-hadd-e-nazar
ek zara sar ko jhukaun to bikhar jata hun

ek ek aankh mein apni hi kahani dekhun
apna chehra nazar aata hai jidhar jata hun

shahr sajte hain guzar-gahen chamak uThti hain
apne hi KHun mein Dubun to sanwar jata hun

'sham' khulta hi nahin maut ka hangam hai kya
waqt ruk jata hai ya main hi Thahar jata hun


Leave a comment

+