Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Falak Kazmi

  • Ghazal


dar-o-diwar KHud-kushi kar len


dar-o-dīvār ḳhud-kushī kar leñ
ham jo nā-chār ḳhud-kushī kar leñ

phir na kahnā mazāq thā pyāre
vāqa.ī yaar ḳhud-kushī kar leñ

kaam karnā hī shart hai to phir
kyuuñ na is baar ḳhud-kushī kar leñ

jin charāġhoñ ko maut kā Dar hai
vo sar-e-dār ḳhud-kushī kar leñ

us se pahle ki sāma.īñ sevam
aham kirdār ḳhud-kushī kar leñ

jo haiñ nādāñ vo zindagī jheleñ
aur samajhdār ḳhud-kushī kar leñ

maiñ to kahtā huuñ josh kī māneñ
sab qalam-kār ḳhud-kushī kar leñ

dar-o-diwar KHud-kushi kar len
hum jo na-chaar KHud-kushi kar len

phir na kahna mazaq tha pyare
waqai yar KHud-kushi kar len

kaam karna hi shart hai to phir
kyun na is bar KHud-kushi kar len

jin charaghon ko maut ka Dar hai
wo sar-e-dar KHud-kushi kar len

us se pahle ki samain sewam
aham kirdar KHud-kushi kar len

jo hain nadan wo zindagi jhelen
aur samajhdar KHud-kushi kar len

main to kahta hun josh ki manen
sab qalam-kar KHud-kushi kar len


Leave a comment

+