gul-e-suḳhan se añdheroñ meñ tāb-kārī kar
na.e sitāre khilā ḳhvāb-shār jaarī kar
bas ab faqīr kī duniyā meñ aur daḳhl na de
tirī bisāt hai dil bhar so shahr-yārī kar
maiñ kārobār-e-jahāñ ko sameT kar aayā
bas itnī der to dil kī nigāh-dārī kar
yahīñ kahīñ kisī lamhe meñ dil bhī hai larzāñ
tavajjoh saare zamānoñ pe baarī baarī kar
vahī na ho ki ye sab log saañs lene lageñ
amīr-e-shahr koī aur ḳhauf taarī kar
ye qaht-e-nūr to 'bābar' ḳhabar nahīñ kab jaa.e
so dil ke arsa-e-ḳhālī meñ ḳhvāb-yārī kar
gul-e-suKHan se andheron mein tab-kari kar
nae sitare khila KHwab-shaar jari kar
bas ab faqir ki duniya mein aur daKHl na de
teri bisat hai dil bhar so shahr-yari kar
main karobar-e-jahan ko sameT kar aaya
bas itni der to dil ki nigah-dari kar
yahin kahin kisi lamhe mein dil bhi hai larzan
tawajjoh sare zamanon pe bari bari kar
wahi na ho ki ye sab log sans lene lagen
amir-e-shahr koi aur KHauf tari kar
ye qaht-e-nur to 'babar' KHabar nahin kab jae
so dil ke arsa-e-KHali mein KHwab-yari kar
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment