zindagī ke liye itnā bhī kyā hairāñ honā
mujh ko aatā nahīñ be-vaj.h pareshāñ honā
māñgnā jo bhī ho māñgūñgī maiñ apne rab se
maañg kar bande se aayā na pashemāñ honā
yuuñ to guftār meñ māhir haiñ bahut se lekin
itnā āsāñ nahīñ sachchā.ī pe qurbāñ honā
mujh se ulfat hai to bas mere hī ban kar rahnā
bhuul kar bhī na kabhī ġhair ke mehmāñ honā
har ghaḌī tīrgī rahtī hai musallat mujh par
maiñ ne dekhā hī nahīñ dil kā daraḳhshāñ honā
daur-e-hāzir ko lagī kis kī nazar-bad 'zaryāb'
aadmī ko bhī mayassar nahīñ insāñ honā
zindagi ke liye itna bhi kya hairan hona
mujh ko aata nahin be-wajh pareshan hona
mangna jo bhi ho mangungi main apne rab se
mang kar bande se aaya na pasheman hona
yun to guftar mein mahir hain bahut se lekin
itna aasan nahin sachchai pe qurban hona
mujh se ulfat hai to bas mere hi ban kar rahna
bhul kar bhi na kabhi ghair ke mehman hona
har ghaDi tirgi rahti hai musallat mujh par
main ne dekha hi nahin dil ka daraKHshan hona
daur-e-hazir ko lagi kis ki nazar-bad 'zaryab'
aadmi ko bhi mayassar nahin insan hona
Leave a comment