Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadiya ambar lodhi

  • Ghazal


diwaron pe kya likkha hai


dīvāroñ pe kyā likkhā hai
shahr kā shahr hī soch rahā hai

ġham kī apnī hī shakleñ haiñ
dard kā apnā hī chehra hai

ishq kahānī bas itnī hai
qais kī āñkhoñ meñ sahrā hai

kūza-gar ne miTTī gūñdhī
chaak pe koī aur dharā hai

'amabar' tere ḳhvāb adhūre
ta.abīroñ kā bas dhokā hai

diwaron pe kya likkha hai
shahr ka shahr hi soch raha hai

gham ki apni hi shaklen hain
dard ka apna hi chehra hai

ishq kahani bas itni hai
qais ki aankhon mein sahra hai

kuza-gar ne miTTi gundhi
chaak pe koi aur dhara hai

'amabar' tere KHwab adhure
tabiron ka bas dhoka hai


Leave a comment

+