Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Shaam

  • Ghazal


umr guzri ki teri dhun mein chala tha dariya


umr guzrī ki tirī dhun meñ chalā thā dariyā
jā-ba-jā ghūmtā hai aaj bhī paglā dariyā

bantī jaatī haiñ guhar kitnī hī bholī yādeñ
ye mirā dil hai ki Thahrā huā gahrā dariyā

na kisī mauj kā naġhma hai na girdāb kā raqs
jaane kyā baat hai ḳhāmosh hai saarā dariyā

thal ke siine pe pighal jaatī hai jab chāñd kī barf
duur tak ret pe bahtā hai sunahrā dariyā

haa.e vo rañg bhare pyaar ke maskan pattan
haa.e vo naav se rah rah ke lipaTtā dariyā

'shām' ākāsh pe jab phailtā hai din kā lahū
Duub jaatā hai kisī soch meñ bahtā dariyā

umr guzri ki teri dhun mein chala tha dariya
ja-ba-ja ghumta hai aaj bhi pagla dariya

banti jati hain guhar kitni hi bholi yaaden
ye mera dil hai ki Thahra hua gahra dariya

na kisi mauj ka naghma hai na girdab ka raqs
jaane kya baat hai KHamosh hai sara dariya

thal ke sine pe pighal jati hai jab chand ki barf
dur tak ret pe bahta hai sunahra dariya

hae wo rang bhare pyar ke maskan pattan
hae wo naw se rah rah ke lipaTta dariya

'sham' aakash pe jab phailta hai din ka lahu
Dub jata hai kisi soch mein bahta dariya


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+