Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidur Rahman

  • Ghazal


gumrahi ka meri saman hua jata hai


gumrahī kā mirī sāmān huā jaatā hai
rāsta ziist kā āsān huā jaatā hai

ik taraf ruuh ki parvāz ko jaise tayyār
ik taraf jism ki be-jān huā jaatā hai

dasht-e-ġhurbat hai ki ābād hamāre dam se
ghar kā āñgan hai ki vīrān huā jaatā hai

kyuuñ na phir dhuup bhī ban jaa.e ghaTā jab ham par
aap kā sāya-e-mizhgān huā jaatā hai

kah diyā aap ne kyā kaan meñ chupke se ise
dil meñ barpā mire haijān huā jaatā hai

aap kī merī hī ġhazloñ kī haiñ katran saarī
jin se vo sāhab-e-dīvān huā jaatā hai

dī hai chupke se 'obaid' us ne laboñ par dastak
shor barpā tah-e-shiryān huā jaatā hai

gumrahi ka meri saman hua jata hai
rasta zist ka aasan hua jata hai

ek taraf ruh ki parwaz ko jaise tayyar
ek taraf jism ki be-jaan hua jata hai

dasht-e-ghurbat hai ki aabaad hamare dam se
ghar ka aangan hai ki viran hua jata hai

kyun na phir dhup bhi ban jae ghaTa jab hum par
aap ka saya-e-mizhgan hua jata hai

kah diya aap ne kya kan mein chupke se ise
dil mein barpa mere haijaan hua jata hai

aap ki meri hi ghazlon ki hain katran sari
jin se wo sahab-e-diwan hua jata hai

di hai chupke se 'obaid' us ne labon par dastak
shor barpa tah-e-shiryan hua jata hai


Leave a comment

+