āsmāñ ishq kī azmat ke sivā bhī kuchh hai
kyā ye sahrā mirī vahshat ke savā bhī kuchh hai
muuñd luuñ aañkh to be-kār hai sab rañg-e-jahāñ
kyā mirī chashm-e-ināyat ke sivā bhī kuchh hai
kuchh to hai jis ke batāne se huuñ qāsir lekin
ab tire dard meñ lazzat ke sivā bhī kuchh hai
merī ā.ankhoñ se koī us kā sarāpā dekhe
tab khulegā ki qayāmat ke sivā bhī kuchh hai
har ta.alluq kisī qīmat kā talab-gār nahīñ
dil ke saude meñ tijārat ke sivā bhī kuchh hai
haañ vo ik lamha ki haq-goī pe gardan kaT jaa.e
ya.anī tā-umr ibādat ke sivā bhī kuchh hai
husn sab husn-e-tabī.at pe hai mauqūf 'nadīm'
yā kahīñ husn-e-tabī.at ke sivā bhī kuchh hai
aasman ishq ki azmat ke siwa bhi kuchh hai
kya ye sahra meri wahshat ke sawa bhi kuchh hai
mund lun aankh to be-kar hai sab rang-e-jahan
kya meri chashm-e-inayat ke siwa bhi kuchh hai
kuchh to hai jis ke batane se hun qasir lekin
ab tere dard mein lazzat ke siwa bhi kuchh hai
meri aaankhon se koi us ka sarapa dekhe
tab khulega ki qayamat ke siwa bhi kuchh hai
har talluq kisi qimat ka talab-gar nahin
dil ke saude mein tijarat ke siwa bhi kuchh hai
han wo ek lamha ki haq-goi pe gardan kaT jae
yani ta-umr ibaadat ke siwa bhi kuchh hai
husn sab husn-e-tabiat pe hai mauquf 'nadim'
ya kahin husn-e-tabiat ke siwa bhi kuchh hai
Leave a comment