mizāj-e-shauq meñ māmūriyat kā azm bhī ho
faqat sukūn nahīñ zindagī meñ razm bhī ho
shab-e-aḳhīr charāġhoñ kī lau bujhe to vahāñ
sadā-e-lā se munavvar tumhārī bazm bhī ho
hayāt maut hai andāz-e-haidarī ke baġhair
satīza-gāh meñ harf-e-junūñ pe jazm bhī ho
ba-ma.a shu.ūr-o-irāda-o-justujū-o-ḳhirām
tire nisāb meñ 'naqqāsh' bāb-e-hazm bhī ho
mizaj-e-shauq mein mamuriyat ka azm bhi ho
faqat sukun nahin zindagi mein razm bhi ho
shab-e-aKHir charaghon ki lau bujhe to wahan
sada-e-la se munawwar tumhaari bazm bhi ho
hayat maut hai andaz-e-haidari ke baghair
satiza-gah mein harf-e-junun pe jazm bhi ho
ba-ma shuur-o-irada-o-justuju-o-KHiram
tere nisab mein 'naqqash' bab-e-hazm bhi ho
Leave a comment