Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Balbir Rathi

  • Ghazal


raat kya Dhal gai samundar mein


raat kyā Dhal ga.ī samundar meñ
ghul ga.ī tīrgī samundar meñ

ek surḳhī pahāḌ se ubhrī
phir utartī ga.ī samundar meñ

ik safīna kahīñ pe Duubā thā
kitnī halchal huī samundar meñ

ḳhud samundar kī niiñd TuuT ga.ī
raat kuchh yuuñ Dhalī samundar meñ

ġharq hotā gayā koī sahrā
dhuul uḌtī ga.ī samundar meñ

koī tūfāñ zarūr uThnā thā
apnī kashtī jo thī samundar meñ

raat kya Dhal gai samundar mein
ghul gai tirgi samundar mein

ek surKHi pahaD se ubhri
phir utarti gai samundar mein

ek safina kahin pe Duba tha
kitni halchal hui samundar mein

KHud samundar ki nind TuT gai
raat kuchh yun Dhali samundar mein

gharq hota gaya koi sahra
dhul uDti gai samundar mein

koi tufan zarur uThna tha
apni kashti jo thi samundar mein


Source: Book : Shehr-e-Sukhan (Pg. 19) Author : Karan Singh Karan Publication : Manvi Parkashan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+