Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dua Ali

  • Ghazal


mujhko qadam qadam pe tera intizar hai


mujh ko qadam qadam pe tirā intizār hai
shāyad ki mere vāste fasl-e-bahār hai

āñkhoñ se tū ne mujh ko pilā.ī thī vo sharāb
mere badan meñ aaj bhī us kā ḳhumār hai

baiThī huuñ intizār meñ taktī huuñ rah tirī
rāhat sukūn-o-chain na mujh ko qarār hai

aayā palaT ke tū na ḳhabar terī aa sakī
yādoñ kā aaj bhī tirī qaa.em mazār hai

jo log sachche ishq meñ maqbūl ho ga.e
ai shāh-e-dil hamārā bhī un meñ shumār hai

uḌ uḌ ke aa rahī hai mahak tere jism kī
mahsūs ho rahā hai ye terā dayār hai

kal raat mere ḳhvāb meñ chūme the us ne lab
shāyad ye us ke lams kā mujh par nikhār hai

mujh ko qadam qadam pe tera intizar hai
shayad ki mere waste fasl-e-bahaar hai

aankhon se tu ne mujh ko pilai thi wo sharab
mere badan mein aaj bhi us ka KHumar hai

baiThi hun intizar mein takti hun rah teri
rahat sukun-o-chain na mujh ko qarar hai

aaya palaT ke tu na KHabar teri aa saki
yaadon ka aaj bhi teri qaem mazar hai

jo log sachche ishq mein maqbul ho gae
ai shah-e-dil hamara bhi un mein shumar hai

uD uD ke aa rahi hai mahak tere jism ki
mahsus ho raha hai ye tera dayar hai

kal raat mere KHwab mein chume the us ne lab
shayad ye us ke lams ka mujh par nikhaar hai


Leave a comment

+