kitnī shiddat se tujhe chāhā thā
kabhī kuchh aur nahīñ sochā thā
kho.e the aise tirī chāhat meñ
TuuT ke abr-e-junūñ barsā thā
merī har soch meñ thī terī hī soch
merā har lamha tirā lamha thā
jab bhī paḌte the ḳhayāloñ ke bhañvar
terā chehra hī ubhar aatā thā
un dinoñ jism kī rag rag meñ ravāñ
ḳhuuñ kahāñ ḳhvāhishoñ kā dariyā thā
yaad hai aaj bhī sāñsoñ kī mahak
vaqt apne liye ruk jaatā thā
jab chamaktā thā badan kā sūraj
dhuup ban kar maiñ bikhar jaatā thā
TuuT jaatā thā zamānoñ kā sukūt
daf.atan shaam ko phone aatā thā
rañg-e-pairāhan-e-ehsās thī tū
maiñ nigāh-e-talab-e-tishna thā
tū nasīm-e-sahar mausam-e-gul
maiñ ki ik TuuTā huā pattā thā
reza reza huā qasr-e-pindār
be-tarah zor-e-badan TuuTā thā
vaar dī aaj tire dar pe anā
bojh sadiyoñ se uThā rakkhā thā
rāheñ bāñheñ to darīche āñkheñ
ye tirā shahr bhī tujh jaisā thā
umr-bhar apne hī sho.aloñ meñ jalā
maiñ ki sūraj kī tarah tanhā thā
garm haiñ rañg ke bāzār yahāñ
itnā sannāTā kahāñ hotā thā
paañv nīche se zamīñ bhī niklī
maiñ ḳhalāoñ kī taraf lapkā thā
sub.h kī tarah vo be-rañg hai ab
'shām' kī tarah jise chāhā thā
kitni shiddat se tujhe chaha tha
kabhi kuchh aur nahin socha tha
khoe the aise teri chahat mein
TuT ke abr-e-junun barsa tha
meri har soch mein thi teri hi soch
mera har lamha tera lamha tha
jab bhi paDte the KHayalon ke bhanwar
tera chehra hi ubhar aata tha
un dinon jism ki rag rag mein rawan
KHun kahan KHwahishon ka dariya tha
yaad hai aaj bhi sanson ki mahak
waqt apne liye ruk jata tha
jab chamakta tha badan ka suraj
dhup ban kar main bikhar jata tha
TuT jata tha zamanon ka sukut
dafatan sham ko phone aata tha
rang-e-pairahan-e-ehsas thi tu
main nigah-e-talab-e-tishna tha
tu nasim-e-sahar mausam-e-gul
main ki ek TuTa hua patta tha
reza reza hua qasr-e-pindar
be-tarah zor-e-badan TuTa tha
war di aaj tere dar pe ana
bojh sadiyon se uTha rakkha tha
rahen banhen to dariche aankhen
ye tera shahr bhi tujh jaisa tha
umr-bhar apne hi shoalon mein jala
main ki suraj ki tarah tanha tha
garm hain rang ke bazar yahan
itna sannaTa kahan hota tha
panw niche se zamin bhi nikli
main KHalaon ki taraf lapka tha
subh ki tarah wo be-rang hai ab
'sham' ki tarah jise chaha tha
Leave a comment