gul tire mukh kī fikr meñ bīmār
jiiv bulbul kā tujh qadam pe nisār
gul kuuñ ai shoḳh mukh tanik dikhlā
ki ḳhizāñ kar dikhā de us kuuñ bahār
mast se dil kuuñ hai hazar lāzim
nain tere bahut hue sarshār
is galī meñ qadam karam suuñ dhar
ki karūñ har qadam pe jiiv nisār
mārtī mujh kuuñ ai kamāñ abrū
ye palak tiir o ye nigah talvār
hijr meñ tere aah kartā hai
dil-e-āshiq nahīñ hai Tuk bekār
kyā kare tujh se paapī suuñ 'fā.ez'
siina ġham suuñ hai tere ābla-dār
gul tere mukh ki fikr mein bimar
jiw bulbul ka tujh qadam pe nisar
gul kun ai shoKH mukh tanik dikhla
ki KHizan kar dikha de us kun bahaar
mast se dil kun hai hazar lazim
nain tere bahut hue sarshaar
is gali mein qadam karam sun dhar
ki karun har qadam pe jiw nisar
marti mujh kun ai kaman abru
ye palak tir o ye nigah talwar
hijr mein tere aah karta hai
dil-e-ashiq nahin hai Tuk bekar
kya kare tujh se papi sun 'faez'
sina gham sun hai tere aabla-dar
Source: Book : Khayaabaan (Pg. 141) Author : Hassan Abbas Raza Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Leave a comment