Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naheed Virk

  • Ghazal


bhari raat mein jagna paD gaya hai


bharī raat meñ jāgnā paḌ gayā hai
tire baare meñ sochnā paḌ gayā hai

kisī ḳhvāb kī phir se dastak hai shāyad
dar-e-dil mujhe kholnā paḌ gayā hai

tirī soch bhī sochnī paḌ ga.ī hai
tirā lahja bhī bolnā paḌ gayā hai

dhuāñ ban ke sāñsoñ meñ chubhne lagī thī
ḳhamoshī ko ab toḌnā paḌ gayā hai

jahāñ reza reza maiñ bikhrī paḌī thī
vo manzar mujhe joḌnā paḌ gayā hai

ye kyā sarsarāhaT huī mere dil meñ
qalam rok kar sochnā paḌ gayā hai

bhari raat mein jagna paD gaya hai
tere bare mein sochna paD gaya hai

kisi KHwab ki phir se dastak hai shayad
dar-e-dil mujhe kholna paD gaya hai

teri soch bhi sochni paD gai hai
tera lahja bhi bolna paD gaya hai

dhuan ban ke sanson mein chubhne lagi thi
KHamoshi ko ab toDna paD gaya hai

jahan reza reza main bikhri paDi thi
wo manzar mujhe joDna paD gaya hai

ye kya sarsarahaT hui mere dil mein
qalam rok kar sochna paD gaya hai


Source: Intikhab-e-Sukhan(Volume-009)

Leave a comment

+