ai ārzū-e-shauq tujhe kuchh ḳhabar hai aaj
husn-e-nazar-navāz harīf-e-nazar hai aaj
har rāzdāñ hai hairatī-e-jalva-hā-e-rāz
jo bā-ḳhabar hai aaj vahī be-ḳhabar hai aaj
kyā dekhiye ki dekh hī sakte nahīñ use
apnī nigāh-e-shauq hijāb-e-nazar hai aaj
dil bhī nahīñ hai mahram-e-asrār-e-ishq dost
ye rāzdāñ bhī halqa-e-bairūn-e-dar hai aaj
kal tak thī dil meñ hasrat-e-āzādī-e-qafas
āzād aaj haiñ to ġham-e-bāl-o-par hai aaj
ai aarzu-e-shauq tujhe kuchh KHabar hai aaj
husn-e-nazar-nawaz harif-e-nazar hai aaj
har raazdan hai hairati-e-jalwa-ha-e-raaz
jo ba-KHabar hai aaj wahi be-KHabar hai aaj
kya dekhiye ki dekh hi sakte nahin use
apni nigah-e-shauq hijab-e-nazar hai aaj
dil bhi nahin hai mahram-e-asrar-e-ishq dost
ye raazdan bhi halqa-e-bairun-e-dar hai aaj
kal tak thi dil mein hasrat-e-azadi-e-qafas
aazad aaj hain to gham-e-baal-o-par hai aaj
Pakistan"
Leave a comment