Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Goyai

  • Ghazal


na jaane kaun si saat mein ho gaya ghaeb


na jaane kaun sī saa.at meñ ho gayā ġhā.eb
jo andarūn TaTolā to lāpata ġhā.eb

kidhar ko jā.ūñ havāoñ kī qaid se chhuT kar
zamīn tañg huī aur rāstā ġhā.eb

vo ek abr kī mānind mere uupar se
havā ke saath uḌā aur ho gayā ġhā.eb

kisī bhī taur barābar na ho sakī taqsīm
jo ek sāmne aayā to dūsrā ġhā.eb

na jaane kaun si saat mein ho gaya ghaeb
jo andarun TaTola to lapata ghaeb

kidhar ko jaun hawaon ki qaid se chhuT kar
zamin tang hui aur rasta ghaeb

wo ek abr ki manind mere upar se
hawa ke sath uDa aur ho gaya ghaeb

kisi bhi taur barabar na ho saki taqsim
jo ek samne aaya to dusra ghaeb


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+