Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Shaam

  • Ghazal


roz-o-shab ki shaKH se bichhDa hua patta hun main


roz-o-shab kī shāḳh se bichhḌā huā pattā huuñ maiñ
vaqt bhī ab DhūñDhtā hai jis ko vo lamha huuñ maiñ

dil ke shīshe TuuT jaate haiñ mirī āvāz se
ik shikasta saaz se ubhrā huā naġhma huuñ maiñ

ham-nashīnoñ ko kabhī aatī nahīñ hai aañch tak
kitnī ThanDī aag hai jis meñ sadā jaltā huuñ maiñ

zindagī ke shor meñ simTe rahe zarre mire
ik zarā tanhā huā to kis tarah bikhrā huuñ maiñ

rañgtoñ kā sail thā yā ḳhushbuoñ kī lahr thī
ab talak us husn meñ us jhiil meñ Duubā huuñ maiñ

in chamaktī shāh-rāhoñ par kise apnā kahūñ
shahr haiñ ābād apnoñ se magar tanhā huuñ maiñ

'shām' yuuñ to ab ḳhalāoñ meñ haiñ apnī manzileñ
aur dekhūñ to usī dhartī se be-rishta huuñ maiñ

roz-o-shab ki shaKH se bichhDa hua patta hun main
waqt bhi ab DhunDhta hai jis ko wo lamha hun main

dil ke shishe TuT jate hain meri aawaz se
ek shikasta saz se ubhra hua naghma hun main

ham-nashinon ko kabhi aati nahin hai aanch tak
kitni ThanDi aag hai jis mein sada jalta hun main

zindagi ke shor mein simTe rahe zarre mere
ek zara tanha hua to kis tarah bikhra hun main

rangton ka sail tha ya KHushbuon ki lahr thi
ab talak us husn mein us jhil mein Duba hun main

in chamakti shah-rahon par kise apna kahun
shahr hain aabaad apnon se magar tanha hun main

'sham' yun to ab KHalaon mein hain apni manzilen
aur dekhun to usi dharti se be-rishta hun main


Leave a comment

+