Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsas Muradabadi

  • Ghazal


be-sabab ishq kab udas raha


be-sabab ishq kab udaas rahā
vo tumhārā adā-shanās rahā

zindagī-bhar ḳhudī kā paas rahā
ishq kab mahv-e-iltimās rahā

har fasāna jo kah chukī duniyā
mere ġham kā hī iqtibās rahā

jāma-zebī ba-qadr-e-zauq rahī
ishq har shaḳhs kā libās rahā

tum se jab qurbateñ mayassar thiiñ
dil to us vaqt bhī udaas rahā

ġham kā paimāna ḳhud batā degā
kaun kitnā tumhāre paas rahā

un ko mujh se hazār duurī thī
maiñ to 'ehsās' un ke paas rahā

be-sabab ishq kab udas raha
wo tumhaara ada-shanas raha

zindagi-bhar KHudi ka pas raha
ishq kab mahw-e-iltimas raha

har fasana jo kah chuki duniya
mere gham ka hi iqtibas raha

jama-zebi ba-qadr-e-zauq rahi
ishq har shaKHs ka libas raha

tum se jab qurbaten mayassar thin
dil to us waqt bhi udas raha

gham ka paimana KHud bata dega
kaun kitna tumhaare pas raha

un ko mujh se hazar duri thi
main to 'ehsas' un ke pas raha


Leave a comment

+