karishmā-sāz-e-azal kyā tilism bāñdhā hai
parīda rañg hai har naqsh phir bhī pyārā hai
tū rū-ba-rū ho to ai rū-e-yār tujh se kaheñ
vo harf-e-ġham ki harīf-e-ġham-e-zamānā hai
kabhī to ham pe uThe chashm-e-āshnā kī tarah
vo ik nigāh ki sad-gardish-e-zamānā hai
hamārī āñkhoñ se nairangi-e-jahāñ dekho
hamārī āñkhoñ meñ ik umr-e-sad-tamāshā hai
havā-e-shauq vo din kis ḳhizāñ ke saath ga.e
tamām umr huī intizār-e-fardā hai
karishma-saz-e-azal kya tilism bandha hai
parida rang hai har naqsh phir bhi pyara hai
tu ru-ba-ru ho to ai ru-e-yar tujh se kahen
wo harf-e-gham ki harif-e-gham-e-zamana hai
kabhi to hum pe uThe chashm-e-ashna ki tarah
wo ek nigah ki sad-gardish-e-zamana hai
hamari aankhon se nairangi-e-jahan dekho
hamari aankhon mein ek umr-e-sad-tamasha hai
hawa-e-shauq wo din kis KHizan ke sath gae
tamam umr hui intizar-e-farda hai
Leave a comment