Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Azeem

  • Ghazal


ab kisi taswir ki ranaiyan baaten karen


ab kisī tasvīr kī ra.anā.iyāñ bāteñ kareñ
maiñ to chup huuñ ab mirī tanhā.iyāñ bāteñ kareñ

itnī dīvāroñ meñ ik dīvār hī samjhā mujhe
aa ke mere saa.e meñ parchhā.iyāñ bāteñ kareñ

roknā bhī nāravā hai Toknā bhī nāgavār
kaan tab hote haiñ jab rusvā.iyāñ bāteñ kareñ

ḳhud-kalāmī kā fusūñ tanhā.iyoñ kī guftugū
is se to behtar hai jab parchhā.iyāñ bāteñ kareñ

qāfile kī to samā.at aur zabāñ tak luT ga.ī
hindisoñ ke dasht meñ purvā.iyāñ bāteñ kareñ

ye dar-o-dīvār ye chhat jo kabhī girtī nahīñ
mere uThne tak yahī pahnā.iyāñ bāteñ kareñ

ab kisi taswir ki ranaiyan baaten karen
main to chup hun ab meri tanhaiyan baaten karen

itni diwaron mein ek diwar hi samjha mujhe
aa ke mere sae mein parchhaiyan baaten karen

rokna bhi narawa hai Tokna bhi nagawar
kan tab hote hain jab ruswaiyan baaten karen

KHud-kalami ka fusun tanhaiyon ki guftugu
is se to behtar hai jab parchhaiyan baaten karen

qafile ki to samaat aur zaban tak luT gai
hindison ke dasht mein purwaiyan baaten karen

ye dar-o-diwar ye chhat jo kabhi girti nahin
mere uThne tak yahi pahnaiyan baaten karen


Leave a comment

+