Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Shaam

  • Ghazal


kya hue phul se badan kuchh soch


kyā hue phuul se badan kuchh soch
chhup ga.e chāñd kyuuñ ma.an kuchh soch

kyuuñ sisaktī hai chāñdnī shab-bhar
aaheñ bhartī hai kyuuñ pavan kuchh soch

sar jhukā.e khaḌī rahī pahroñ
terī dahlīz par kiran kuchh soch

ruuh kā saath kaun daa.im hai
phuul se uTh ga.ī phaban kuchh soch

bām-o-dar pe bhī kuchh udāsī hai
kho.e kho.e se haiñ chaman kuchh soch

dekh har shāḳh hai kaḌī zanjīr
baaġh meñ jā na daf.atan kuchh soch

kya hue phul se badan kuchh soch
chhup gae chand kyun man kuchh soch

kyun sisakti hai chandni shab-bhar
aahen bharti hai kyun pawan kuchh soch

sar jhukae khaDi rahi pahron
teri dahliz par kiran kuchh soch

ruh ka sath kaun daim hai
phul se uTh gai phaban kuchh soch

baam-o-dar pe bhi kuchh udasi hai
khoe khoe se hain chaman kuchh soch

dekh har shaKH hai kaDi zanjir
bagh mein ja na dafatan kuchh soch


Leave a comment

+