Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Danish

  • Ghazal


kabhi kabhi jo wo ghurbat-kade mein aae hain


kabhī kabhī jo vo ġhurbat-kade meñ aa.e haiñ
mire bahe hue aañsū jabīñ pe laa.e haiñ

na sarguzisht-e-safar pūchh muḳhtasar ye hai
ki apne naqsh-e-qadam ham ne ḳhud miTā.e haiñ

nazar na toḌ sakī āñsuoñ kī chilman ko
vo roz agarche mire ā.īne meñ aa.e haiñ

us ek sham.a se utre haiñ bām-o-dar ke libās
us ek lau ne baḌe phūl-ban jalā.e haiñ

ye dopahar ye zamīñ par lipā huā sūraj
kahīñ daraḳht na dīvār-o-dar ke saa.e haiñ

kalī kalī meñ hai dhartī ke duudh kī ḳhushbū
tamām phuul usī ek maañ ke jaa.e haiñ

nazar ḳhalāoñ pe aur intizār be-va.ada
ba-īñ amal bhī vo āñkhoñ meñ jhilmilā.e haiñ

fusūn-e-sher se ham us mah-e-gurezāñ ko
ḳhalāoñ se sar-e-kāġhaz utaar laa.e haiñ

risāla haath se rakhte na kyuuñ vo sharmā kar
ġhazal paḌhī hai to ham sāmne bhī aa.e haiñ

chale haiñ ḳhair se un ko pukārne 'dānish'
magar vo yuuñ to na ā.eñge aur na aa.e haiñ

kabhi kabhi jo wo ghurbat-kade mein aae hain
mere bahe hue aansu jabin pe lae hain

na sarguzisht-e-safar puchh muKHtasar ye hai
ki apne naqsh-e-qadam hum ne KHud miTae hain

nazar na toD saki aansuon ki chilman ko
wo roz agarche mere aaine mein aae hain

us ek shama se utre hain baam-o-dar ke libas
us ek lau ne baDe phul-ban jalae hain

ye dopahar ye zamin par lipa hua suraj
kahin daraKHt na diwar-o-dar ke sae hain

kali kali mein hai dharti ke dudh ki KHushbu
tamam phul usi ek man ke jae hain

nazar KHalaon pe aur intizar be-wada
ba-in amal bhi wo aankhon mein jhilmilae hain

fusun-e-sher se hum us mah-e-gurezan ko
KHalaon se sar-e-kaghaz utar lae hain

risala hath se rakhte na kyun wo sharma kar
ghazal paDhi hai to hum samne bhi aae hain

chale hain KHair se un ko pukarne 'danish'
magar wo yun to na aaenge aur na aae hain


Leave a comment

+