Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wajeeh Sani

  • Ghazal


mere andar kahin par kho gai hai


mire andar kahīñ par kho ga.ī hai
mohabbat ḳhaak meñ luthḌī huī hai

maiñ zaḳhmī dil liye kab tak phiruñgā
tirī ḳhvāhish to kab kī mar chukī hai

mirī āñkhoñ meñ haiñ aañsū abhī tak
kalī ik mez par ab tak dharī hai

tire ġham ko sameTā jab to dekhā
udāsī sahn meñ bikhrī paḌī hai

tirā saaya mujhe lipTā huā hai
to phir tū fāsle par kyuuñ khaḌī hai

lakīreñ hijr kā dukh ro paḌīñ yā
tumhāre haath meñ mehñdī rachī hai

mere andar kahin par kho gai hai
mohabbat KHak mein luthDi hui hai

main zaKHmi dil liye kab tak phirunga
teri KHwahish to kab ki mar chuki hai

meri aankhon mein hain aansu abhi tak
kali ek mez par ab tak dhari hai

tere gham ko sameTa jab to dekha
udasi sahn mein bikhri paDi hai

tera saya mujhe lipTa hua hai
to phir tu fasle par kyun khaDi hai

lakiren hijr ka dukh ro paDin ya
tumhaare hath mein mehndi rachi hai


Leave a comment

+