Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidurrahman Niyazi

  • Ghazal


kisi ke panw ki ragaD se aag si lagi to thi kidhar gai


kisī ke paañv kī ragaḌ se aag sī lagī to thī kidhar ga.ī
nazar to aa.ī thī mujhe zarā sī der raushnī kidhar ga.ī

maiñ us ke lafz lafz kī banāvaToñ meñ gum thā jab havā chalī
jo mere dil kī mez par kitāb thī khulī huī kidhar ga.ī

bas ek moḌ kyā kaTā ki vāpsī kā rāsta hī kho gayā
maiñ DhūñD DhūñD thak gayā yahīñ to thī mirī galī kidhar ga.ī

maiñ bhuul aayā huuñ kahīñ ki chhīn le gayā koī ḳhabar nahīñ
jo maiñ ne rab se paa.ī thī mire nasīb kī ḳhushī kidhar ga.ī

udāsiyoñ ke dasht ne thakā diyā bujhā diyā sulā diyā
vo merī aañkh meñ jo thī samundaroñ sī tāzgī kidhar ga.ī

kisi ke panw ki ragaD se aag si lagi to thi kidhar gai
nazar to aai thi mujhe zara si der raushni kidhar gai

main us ke lafz lafz ki banawaTon mein gum tha jab hawa chali
jo mere dil ki mez par kitab thi khuli hui kidhar gai

bas ek moD kya kaTa ki wapsi ka rasta hi kho gaya
main DhunD DhunD thak gaya yahin to thi meri gali kidhar gai

main bhul aaya hun kahin ki chhin le gaya koi KHabar nahin
jo main ne rab se pai thi mere nasib ki KHushi kidhar gai

udasiyon ke dasht ne thaka diya bujha diya sula diya
wo meri aankh mein jo thi samundaron si tazgi kidhar gai


Source: Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 253) Author : Dr. Jawaz Jafri Publication : Kitab Saray, Lahore (2011) Edition : 2011

Leave a comment

+