Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hadi Machlishahri

  • Ghazal


dekh kar shama ke aaghosh mein parwane ko


dekh kar sham.a ke āġhosh meñ parvāne ko
dil ne bhī chheḌ diyā shauq ke afsāne ko

zarre zarre se gulistāñ meñ barastī hai bahār
kaun aise meñ sambhāle tire dīvāne ko

tuur ne jis se hayāt-e-abadī paa.ī hai
laao dohrā.ūñ maiñ phir se isī afsāne ko

dil-e-sarshār mirā chashm-e-siyah-mast tirī
jazba Takrā de na paimāne se paimāne ko

sub.h ko dekh le is sham.a kā anjām koī
jis ne phūñkā shab-e-ummīd meñ parvāne ko

dekh kar shama ke aaghosh mein parwane ko
dil ne bhi chheD diya shauq ke afsane ko

zarre zarre se gulistan mein barasti hai bahaar
kaun aise mein sambhaale tere diwane ko

tur ne jis se hayat-e-abadi pai hai
lao dohraun main phir se isi afsane ko

dil-e-sarshaar mera chashm-e-siyah-mast teri
jazba Takra de na paimane se paimane ko

subh ko dekh le is shama ka anjam koi
jis ne phunka shab-e-ummid mein parwane ko


Source: Book : Khwaab Palkon Mein (Pg. 17) Author : Vishal Khullar Publication : Insha Publications (2017) Edition : 2017

Leave a comment

+