Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Shaam

  • Ghazal


waqt ke kitne hi dhaaron se guzarna hai abhi


vaqt ke kitne hī dhāroñ se guzarnā hai abhī
zindagī hai to ka.ī rañg se marnā hai abhī

kaT gayā din kā dahaktā huā sahrā bhī to kyā
raat ke gahre samundar meñ utarnā hai abhī

zehn ke reze to phaile haiñ fazā meñ har sū
jism ko TuuT ke har-gām bikharnā hai abhī

ye saje baam javāñ chāñdnī yuuñ lagtā hai
ik sitam aur tire shahr ne karnā hai abhī

ek ik rañg uḌā le ga.ī be-mehr havā
kitne ḳhāke haiñ jinheñ 'shām' jī bharnā hai abhī

waqt ke kitne hi dhaaron se guzarna hai abhi
zindagi hai to kai rang se marna hai abhi

kaT gaya din ka dahakta hua sahra bhi to kya
raat ke gahre samundar mein utarna hai abhi

zehn ke reze to phaile hain faza mein har su
jism ko TuT ke har-gam bikharna hai abhi

ye saje baam jawan chandni yun lagta hai
ek sitam aur tere shahr ne karna hai abhi

ek ek rang uDa le gai be-mehr hawa
kitne KHake hain jinhen 'sham' ji bharna hai abhi


Leave a comment

+