Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Basheer Ahmad Shad

  • Ghazal


hum jaan ke unki mahfil mein aghyar ki baaten karte hain


ham jaan ke un kī mahfil meñ aġhyār kī bāteñ karte haiñ
phūloñ ko satāne kī ḳhātir ham ḳhaar kī bāteñ karte haiñ

kuchh log gulāboñ kī sūrat kāñToñ se guzāra karte haiñ
mahrūm-e-mohabbat ho kar bhī vo pyaar kī bāteñ karte haiñ

kaliyoñ ko chaTaktā dekh ke jo bijlī ko pukārā karte the
ab raakh uḌā kar log vahī gulzār kī bāteñ karte haiñ

afsos hai un insānoñ par jo chand nivāloñ kī ḳhātir
shāhoñ ke qasīde likhte haiñ sarkār kī bāteñ karte haiñ

dekhā hai jab se phūloñ ne ai jaan tumhāre chehre ko
aapas meñ tumhāre hoñToñ kī ruḳhsār kī bāteñ karte haiñ

jo saarī umr fasīloñ meñ sūraj kī shuāoñ ko tarse
vo log hamīñ se kūche kī bāzār kī bāteñ karte haiñ

jo raat ko apne saath liye aa.e the shahr kī galiyoñ meñ
ab nuur ke taḌke sub.hoñ ke āsār kī bāteñ karte haiñ

vo zinda thā to koī bhī pursān-e-hāl na thā us kā
ab kitne shauq se log usī bīmār kī bāteñ karte haiñ

hum jaan ke un ki mahfil mein aghyar ki baaten karte hain
phulon ko satane ki KHatir hum KHar ki baaten karte hain

kuchh log gulabon ki surat kanTon se guzara karte hain
mahrum-e-mohabbat ho kar bhi wo pyar ki baaten karte hain

kaliyon ko chaTakta dekh ke jo bijli ko pukara karte the
ab rakh uDa kar log wahi gulzar ki baaten karte hain

afsos hai un insanon par jo chand niwalon ki KHatir
shahon ke qaside likhte hain sarkar ki baaten karte hain

dekha hai jab se phulon ne ai jaan tumhaare chehre ko
aapas mein tumhaare honTon ki ruKHsar ki baaten karte hain

jo sari umr fasilon mein suraj ki shuaon ko tarse
wo log hamin se kuche ki bazar ki baaten karte hain

jo raat ko apne sath liye aae the shahr ki galiyon mein
ab nur ke taDke subhon ke aasar ki baaten karte hain

wo zinda tha to koi bhi pursan-e-haal na tha us ka
ab kitne shauq se log usi bimar ki baaten karte hain


Source: Intikhab-e-Sukhan,Volume-001

Leave a comment

+