haath meñ hai ik purānī Diary
kholne baiThā huuñ girheñ yaad kī
us se va.ada hai mileñge shaam ko
shaam kitnī der ke baad aa.egī
ham ne sochā thā chaleñge sair ko
rāstoñ ne phir safedī oḌh lī
garm kamroñ se nikaltā kaun hai
mahfileñ ujḌī huī haiñ shahr kī
chubh rahī hai merī āñkhoñ meñ bahut
chār-sū phailī huī be-manzarī
pyaar kī ḳhushbū se ḳhālī nisbateñ
rābte sab dil ke rañgoñ se tahī
ik ta.alluq bante bante rah gayā
khilte khilte ik kalī murjhā ga.ī
hath mein hai ek purani Diary
kholne baiTha hun girhen yaad ki
us se wada hai milenge sham ko
sham kitni der ke baad aaegi
hum ne socha tha chalenge sair ko
raston ne phir safedi oDh li
garm kamron se nikalta kaun hai
mahfilen ujDi hui hain shahr ki
chubh rahi hai meri aankhon mein bahut
chaar-su phaili hui be-manzari
pyar ki KHushbu se KHali nisbaten
rabte sab dil ke rangon se tahi
ek talluq bante bante rah gaya
khilte khilte ek kali murjha gai
Leave a comment