Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Mohammad Qasir

  • Ghazal


phir wo dariya hai kinaron se chhalakne wala


phir vo dariyā hai kināroñ se chhalakne vaalā
shahr meñ koī nahīñ aañkh jhapakne vaalā

jis se har shāḳh pe phūTī tire aane kī mahak
aam ke peḌ pe vo bor hai pakne vaalā

yuuñ to āñgan meñ charāġhoñ kī farāvānī hai
bujhtā jaatā hai vo ik naam chamakne vaalā

phir kahānī meñ nishānī kī tarah chhoḌ gayā
dil kī dahlīz pe ik dard dhaḌakne vaalā

hijr-Taksāl meñ Dhālegā ġhazal ke sikke
terī mahfil meñ kabhī bol na sakne vaalā

phir wo dariya hai kinaron se chhalakne wala
shahr mein koi nahin aankh jhapakne wala

jis se har shaKH pe phuTi tere aane ki mahak
aam ke peD pe wo bor hai pakne wala

yun to aangan mein charaghon ki farawani hai
bujhta jata hai wo ek nam chamakne wala

phir kahani mein nishani ki tarah chhoD gaya
dil ki dahliz pe ek dard dhaDakne wala

hijr-Taksal mein Dhaalega ghazal ke sikke
teri mahfil mein kabhi bol na sakne wala


Leave a comment

+