Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Imam Asar

  • Ghazal


subh-dam roti jo teri bazm se jati hai shama


sub.h-dam rotī jo terī bazm se jaatī hai sham.a
saaf mere soz-e-ġham kā rañg dikhlātī hai sham.a

jis tarah kaale ke man ke rū-ba-rū gul ho charāġh
dekh kar ta.avīz-e-zulf-e-yār bujh jaatī hai sham.a

sirf parvāna adab se dam-ba-ḳhud rahtā nahīñ
tere ro.ab-e-husn se mahfil meñ tharrātī hai sham.a

gher lete haiñ tujhe parvāne us ko chhoḌ kar
jis meñ tū ho kab faroġh us bazm meñ paatī hai sham.a

kārband-e-adl hote haiñ jo haiñ raushan-dimāġh
bazm meñ har samt yaksāñ nuur pahuñchātī hai sham.a

parda-e-fānūs se bāhar nahīñ rakhtī qadam
rū-ba-rū tere ruḳh-e-raushan ke sharmātī hai sham.a

jā-e-girya sohbat-e-ahle--tamāshā hai 'asar'
hai bajā rotī huī jo bazm meñ aatī hai sham.a

subh-dam roti jo teri bazm se jati hai shama
saf mere soz-e-gham ka rang dikhlati hai shama

jis tarah kale ke man ke ru-ba-ru gul ho charagh
dekh kar tawiz-e-zulf-e-yar bujh jati hai shama

sirf parwana adab se dam-ba-KHud rahta nahin
tere roab-e-husn se mahfil mein tharraati hai shama

gher lete hain tujhe parwane us ko chhoD kar
jis mein tu ho kab farogh us bazm mein pati hai shama

karband-e-adl hote hain jo hain raushan-dimagh
bazm mein har samt yaksan nur pahunchati hai shama

parda-e-fanus se bahar nahin rakhti qadam
ru-ba-ru tere ruKH-e-raushan ke sharmati hai shama

ja-e-girya sohbat-e-ahle--tamasha hai 'asar'
hai baja roti hui jo bazm mein aati hai shama


Source: Book : chera chera mery kahani (Pg. 154)

Leave a comment

+