Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Shaam

  • Ghazal


tu muamma hai to hal isko bhi karna hai mujhe


tū muamma hai to hal is ko bhī karnā hai mujhe
tū samundar hai to phir tah meñ utarnā hai mujhe

tū ne sochā thā ki jalvoñ se bahal jā.ūñgā
aise kitne hī sarāboñ se guzarnā hai mujhe

karb jitnā hai tirī aañkh meñ barsā de magar
isī girdāb meñ phañs kar to ubharnā hai mujhe

phir bapā hai vahī jazbāt kā tūfān to kyā
isī bigḌe hue mausam meñ sañvarnā hai mujhe

in dinoñ chāñd kī tasḳhīr kī hai fikr ki kal
chāñdnī ban ke zamāne meñ utarnā hai mujhe

kis tarah chhoḌ duuñ is shahr ko ai mauj-e-nasīm
yahīñ jiinā hai mujhe aur yahīñ marnā hai mujhe

ruk gayā vaqt palaT aa.ī haiñ biitī sadiyāñ
yahī vo lamha hai jab 'shām' bikharnā hai mujhe

tu muamma hai to hal is ko bhi karna hai mujhe
tu samundar hai to phir tah mein utarna hai mujhe

tu ne socha tha ki jalwon se bahal jaunga
aise kitne hi sarabon se guzarna hai mujhe

karb jitna hai teri aankh mein barsa de magar
isi girdab mein phans kar to ubharna hai mujhe

phir bapa hai wahi jazbaat ka tufan to kya
isi bigDe hue mausam mein sanwarna hai mujhe

in dinon chand ki tasKHir ki hai fikr ki kal
chandni ban ke zamane mein utarna hai mujhe

kis tarah chhoD dun is shahr ko ai mauj-e-nasim
yahin jina hai mujhe aur yahin marna hai mujhe

ruk gaya waqt palaT aai hain biti sadiyan
yahi wo lamha hai jab 'sham' bikharna hai mujhe


Leave a comment

+